Aaj kuch waqat ke liye pas mere kaash tum aa jate

Aaj kuch waqat ke liye pas mere kaash tum aa jate
bohut tanha hon main aaj kaash tum aa jate

Kabhi khud ko itna kamzoor na hone diya maine
Par aaj bikhar gayi hon main kash tum aa jate

Tumhi se milta hai hosla harpal mujhe
Chahiye aaj bahon ka sahara kaash tum aa jate

Barson se jee rahi hon bin tumhare
Aaj nahi guzar raha ek pal kash tum aa jate

Waqat ki raftar bhi jaise thum si gayi hai

Thum na jaye meri saans kash tum aa jate

Post a Comment

0 Comments