Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yar k qissy

Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yar k qissy
Gul o gulzar ki baten lab o rukhsar k qissy

Yahan sb k muqdar mein faqat zakham e judai hai
Sabi jhothe fasane hain wisal e yar k qissy

Bhala ishq o mohabbat se ksi ka pait bharta hai
Suno tum ko sunata hun mein karobar k qissy

Mere ahbab kehte hain yahi ek aeib hai mujh mein
Sar e dewar likhta hun pas se dewar k qissy

Mein aksar is lye logoun se ja kar khud nahi milta

Wohi bekar ki batein wohi bekar k qissy

Post a Comment

0 Comments