Gungunatay Howe Anchal Ki Hawa De Mujh Ko

Gungunatay Howe Anchal Ki Hawa De Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke Baloon Mein Sula De Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Laga De Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Hogi
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla De Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sada De Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rula De Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Meri Tasheer Na Kar Ab Tu Jala De Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main

Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon Bhola De Mujh Ko

Post a Comment

0 Comments