Kabhi jo zindagi ki uljhanein tum ko hi uljha dein

Kabhi jo zindagi ki uljhanein tum ko hi uljha dein
Kabhi jo raston k faslay katay na katein

Kabhi jo raat ki tanhai mein tum saaye ko dhundo
Kisi apne ko socho Kisi piyre ko dhundo

Tu Phir Tum Apni Unglion k Darmian kuch Mehsoos kar lena
Apne HAATH ki gerift mein TUM Aik HAATH pao gay

Mujhe TUM SAATH pao gay
Haan
Hamesha SAATH pao gay

Post a Comment

0 Comments