Mujhe apne zabt pe naaz tha sar e bazam raat ye kia howa

Mujhe apne zabt pe naaz tha sar e bazam raat ye kia howa
Meri aankh kaise chalak pari mujhe ranj hai ye bura howa

Mujhe ap kyun na samjh sake ye apne dil se puchiye
Meri dastan e hayat ka hai warq warq khula howa

Mujhe humsafar bhi mila koi to meri tarah hi luta howa
Kabhi manzilon se hata howa kabhi qafilon se luta howa

Mujhe ik gali mein para hua kisi badnaseeb ka khat mila

Kahin khoon e dil se likha howa kahin ansuon se mita howa

Post a Comment

0 Comments