Pas aa zara dil ki baat bataon tujh ko

Pas aa zara dil ki baat bataon tujh ko
Kaise dharkta hai dil aawaz sunaon tujh ko

Aa k tu dekh le dil pe likha hai naam tera
Agar kehe to dil cheer k dikhaon tujh ko

Jitna jalaya hai tune pyar mein mujh ko
Dil to karta hai main bhi jalaon tujh ko

Ajnabi hota to aisa kar bhi leta shayad

Magar tu to apna hai kaisy sataon tujh ko

Post a Comment

0 Comments