Uljhay howe haalat ka shikwa na kia kar

Uljhay howe haalat ka shikwa na kia kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar

So baar kaha itni mohabbat nahi achi
So baar kaha itna bharosa na kia kar

Halaat tujh ko mujh se na milne kabhi dein gay
Ae dost mere meri tamanna na kia kar

Kya jane ye kis morr pey ley jaye zamana
Tu mujh ko kisi pal bhi Elehda na kia kar

Mumkin hai kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh sy piyar itna ziyada na kia kar

Post a Comment

0 Comments