Maktab e Ishq mein pesh aaye Sawalon ki tarah

Maktab e Ishq mein pesh aaye Sawalon ki tarah
Hum pareshaan hi rahe apne Khayalon ki tarah

Jab bhi anjaam e mohabat ne pukara khud ko
Waqat ne pesh kiya hum ko Misaalon ki tarah

Zikr jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin

Yaad Hum aayen ge duniya ko Hawaalon ki tarah

Post a Comment

0 Comments