Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai

Jisam se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai

Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mein yehi soch k zinda hon k Mar jana hai

Nasha Aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath hi mar jana hai

Post a Comment

0 Comments