Jis ko aksar socha tha tanhaai mein


Jis ko aksar socha tha tanhaai mein

shamil hai woh shakhs meri ruswaai mein

Mujh say mat poocho woh chehra kaisa tha

doob gaya main aankhon ki gehraai mein

Jagtay rehnay ki kitni targhiben thin

us ki bojhal thaki hoi angrdaai mein

Piyar bhi karta hay woh be parwaai say

nadani ka rang bhi hay danaai mein

Woh ek pal ko rootha to mehsoos hoa

jaisay beet gaya ek saal judaai mein

Jao apnay jaisay log talash karo

kia pao gay Mohsin say harjaai mein

Post a Comment

0 Comments