Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho

Jis simt bhi dekhooN nazar aata
hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa
hai ke tum ho

Yeh khwaab hai, khushboo hai,
ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke
saayaa hai, ke tum ho

Is deed ki sahAat main kaiye
rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya
hai ke tum ho

DekhO yeh kisi aur ki aankhAin
hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra
hai ke tum ho

Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre
to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag
ta hai ke tum ho

Har bazm main mauzoo-e-
suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila
hai ke tum ho

Ik dard ka phaila huA sahara hai
ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya
hai ke tum ho

Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar
bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa
hai ke tum ho

Aabaad hum aashufta sarOn se
nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda
hai ke tum ho

Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq
kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi
gawaara hai ke tum ho

Post a Comment

0 Comments