"Hum se wafa k baray main jo chaho poochh lo,

"Hum se wafa k baray main jo chaho poochh lo,

"Lekin wafa ki kya hai saza ye na poochna,

"Rah-e-wafa main hum par jo guzri wo pooch lo,

"Manzil par kya hua salook ye na poochna,

"Chahat ki dastan to hai zaati mamla,

"Tora hai kis ne ehd-e-wafa ye na poochna,

"Rastay main kon kon mila pooch shok se,

"Kis kis ka sath chhoot gaya ye na poochna,

"Kya hum ne zindgi ko diya ye sab ko hai khabar.

"Kya zindgi ne hum ko dia ye na poochna.

Post a Comment

0 Comments