Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad.

Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad.

Kitane Chup-Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad.

Itne Chup-Chaap K Raste Bhi Raheinge Laa-Ilm.

Chor Jaayeinge Kisi Roz Nagar Shaam K Baad.

Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judai Mein Kiye.

Jaise Tufaan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad.

Sham Se Pahle Vo Mast Apni Uraanon Mein Raha.

Jis K Hathon Mein The Tote Hue Par Shaam Ke Baad.

Raat Biti To Gine Aable Aur Phir Socha.

Kon Tha Baa_Is-E-Aaghaz-E- Safar Sham Ke Baad.

Tu Hai Sooraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh.

Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Sham Ke Baad.

Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aavara Mizaaj.

Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad.

Post a Comment

0 Comments