muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai


muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
isi meiN lutf haiN saare, yahi takleef deti hai.

yahi dastoor hai shaayad wafaadari kii duniya ka
jise jee jaan se chaaho wahi takleef deti hai.

shikaayat kar rahaa tha aasmaaN se aik sehra kal
mujhe khawaaboN meiN aksar ik naddi takleef deti hai.

palak bhar ka milan hota hai do anjaan chehroN meiN
magar phir umr bhar ye ik ghaRi takleef deti hai.

kazaa ka khauf lekar jee rahe haiN sab zamaane meiN
haqiiqat meiN sabhi ko zindagi takleef deti hai.

kabhi mauka-b-mauka ho to koii sabr bhi kar le
magar aathoN pehar kii bekhudi takleef deti hai.

savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
humeN to garmiyoN kii loo baRi takleef deti hai.

zaraa kachche makaanoN kii taraf bhi tum nazar dalo
jahaaN baarish kii har teekhee jhaRi takleef deti hai.


adaavat ke jinhoNne har taraf parcham uRaaye the
unheN ab dostoN kii berukhi takleef deti hai.

numu hote hi jiske baaghbaaN hasrat se taktaa hai
kaii kaaNtoN ko wo taazaa kalii takleef deti hai.

bhulaane kii tago-dou meiN jalaa daale haiN khat mere
magar usko usii kii diary takleef deti hai.

nazar aaye jahaaN se roshnii masloob aaNkhoN kii
bayaaze-dil ko aisii shayri takleef deti hai.

Post a Comment

0 Comments