Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta




Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,

Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta.
.
Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta.
.
Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,

Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta.
.
Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,

Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta.
.
Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,

Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta

Post a Comment

0 Comments