dukh dard mein hamesha




dukh dard mein hamesha nikalay tumharay khat
aur mil gayee khushi to uchalay tumharay khat


sab chooriyan tumhari sumander ko soonp di
aur kar diye hawa k hawalay tumharay khat


meray laho mein goonj raha hai har aik khat
mein ne ragon k dashat mein paalay tumharay khat


yun to hein beshumaar wafa ki nishaaniyan
lakin har ek shay se niraalay tumharay khat


jaisay ho umar bhar ka asaasa ghareeb ka
kuch iss tarah se mein ne sanbhalay tumharay khat


ehal e hunar ko mujh pe WASI aitraaz hai
mein ne jo apnay shair mein dhalay tumharay khat


parwa mujhay nahi kissi chand ki WASI
zulmat k dashat mein ujalay tumharay khat

Post a Comment

0 Comments