Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain.

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain.

Hum Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain.

Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish K Liye.

Hum Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain.

Khud-Numaayi To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa.

Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain.

Jab Bhi Aata Hai Mera Naam Tere Naam K Saath.

Jaanay Kiyun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain.

Post a Comment

0 Comments