Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota.

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota.

Magar hadsa judai ka ghamon se kam nahin hota.

Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao.

Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota.

Mohabbat karne waley to hamesha sath rehta hain.

Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota.

Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho.

Koi Aesi saza dete Tumhe to gham nahin hota.

Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj.

Ujala baant dene se ujala kam nahin hota.

Post a Comment

0 Comments