ye mojaza bhi Muhabbat kabhi dikhaye Mujhe.

ye mojaza bhi Muhabbat kabhi dikhaye Mujhe.

k sang Tujh pe gire aur zakhm aye Mujhe.

wo Maharaban hai to iqrar kyun nahin karta.

wo badguman hai to so bar azmaye Mujhe.

Main apne paon tale raundata hun saye ko.

badan Mera hi sahi dopahar na bhaye Mujhe.

Main ghar se Teri Tamanna pahan k jab niklun.

barhana shahar mein koi nazar na aye Mujhe.

wo Mera dost hai sare jahan ko hai malum.

daga kare wo kisi se to sharm aye Mujhe.
Main apni zat mein nilam ho raha hun 'Qateel'

gam-e-hayat se kah do kharid laye Mujhe.

Post a Comment

0 Comments