Zamana jab rulata hai to aansoo aa hi jate hain.

Zamana jab rulata hai to aansoo aa hi jate hain.

Koi apna satata hai to aansoo aa hi jate hain.

Khudaya teri dunya mein koi husan-e-mujasm jab,

Kisi ka dil dukhata hai to aansoo aa hi jate hain.

Main dekhon jab patangay ko wafa ki chah mein akhir,

Ye apni jaan lutata hai to aansoo aa hi jate hain.

Muqadar khud bulatay hain magar dastor-e-ulfat hai,

Koi jab door jata hai to aansoo aa hi jate hain.

Ye rukte hain magar aksar gamon ki taab na la kar,

Zabt jab toot jata hai to aansoo aa hi jate hain.

is zindagi ki tanha raton mein muje aksar,

Koi jab yaad aata hai to aansoo aa hi jate hain. . .

Post a Comment

0 Comments