Aaj muddat baad Deedar_E_Yaar houa tha,

Aaj muddat baad Deedar_E_Yaar houa tha,

Wohi rasta wohi galiyan jahan mujhe piyar houa tha,

Dekha tujhe to yaad aaye wo beetay houe lamhe,

Jab piyar k jazbaat ka izhaar houa tha,

Kaise bhool jaon teri bheegi bheegi nigahon ko,

Inhi jheel si aankhon mein to main girftaar houa tha,

Wo to chhor gaya nigahein pher k mujhe,

Main hi rusiwa Sar_E_Bazaar houa tha,

Us din se bhatak bhatak k jee raha hoon main,

Jis din se be'wafa mera yaar houa tha...

Post a Comment

0 Comments