Har Shakhs Hi Jaise Rukh-E-Batil Se Mila Ho




Har Shakhs Hi Jaise Rukh-E-Batil Se Mila Ho,

Ek Bhi Nahi Aisa Jo Humain Dil Se Mila Ho,

Phir Raah Se, Rehbar Se, Musaft Se Gila Kya,

Jab Hukam Palat Jane Ka Manzil Se Mila Ho,

Andaaz-E Mulaqat Bhi Is Baar Juda Tha,

Jaise K Unhain Waqt Bhi Mushkil Se Mila Ho.!