Kaheen Charaagh Hain Roshan,

Kaheen Charaagh Hain Roshan,
Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain
-
Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain
-
Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Yeh Ek Aalam Hain
-
Mohabbatain Huwi Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Humaray Hisay Me Khushiyan Nahi Hain, Maatham Hain
-
Kuch Isi Lye Bhi Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain,
Tere Gham Hain
-
Abhi Kaho, Tou Abhi, Yeh Bhi Tum Ko De Dein Gey
Humaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain
-
Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Key Raaz?
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain..

Post a Comment

0 Comments