Chalo Kuch Dair Hanstay HainMuhabat Pr Inayet Pr

Chalo Kuch Dair Hanstay Hain
Muhabat Pr Inayet Pr

k Bay Bunyad Baatain Hain
Sbhi Rishte Sbhi Naatay
Zarurat Ki Hain Ejadain

Kahin Koi Nahi Merta
Ksi K Waastay Janaa
k Sab Hai Phair Lafzon Ka
Hai Sara Khail Harfon Ka

Na Hai Mehbub Koi Bhi
Sabhi Jumlay Se Kastay Hain

Chalo Kuch Dair Hastay Hain

Ussi Ko Yaad Krtay Hain,
Jisay Hum Pyar Krtay the,
k Lena Sans Bin Jis K,
Hmain Ik Jurm Lgta Tha,
k Sang Jis K Hr Ik Lamha,
Khush-o-khuram sa Lgta Tha,

Jisay Hum Zindgi Kehtay,
Jise Hum Shairi Kehtay,
Ghazal Ka Qafia Tha Jo,
Nazm Ka Jo k Unwan Tha,

Wo Lehja Jab Badlta Tha,
Qayamet Khaiz Lgta Tha,
Waqt Se Aagay Chalta Tha,
Bala Ka Taiz Lgta Tha,

Jo Saya Ban k Rehta Tha,
Juda Ab Uss k Rstay Hain,

Chalo Kuch Dair Hanstay Hain.

Post a Comment

0 Comments