Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka.

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka.

Tumhara Chaahnay Waala To Mar Gaya Kab Ka.

Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera.

Tera Wajood To Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka.

Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha.
Tumhain Khabar Hi Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka.

Tum Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Ho.

Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka.

"Wasi" Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun.

Hudood-e-Jism Se Mein To Guzar Gaya Kab Ka.