Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,

Itne raangon me koi rang to apna ho jaye,

Ishq woh "turfa-balaa" hai ke kare jis ki talb,

Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,

Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,

Hum ko har bazm mein, Har haal me sach kehna hai,

Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,

Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,

Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,

Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..

Post a Comment

0 Comments