Jate Jate wo Mujhe achi nishani de gaya.

Jate Jate wo Mujhe achi nishani de gaya.

Umar bhar duhraun ga Aesi kahani de gaya.

Us se main kuch pa sakun Asi kahan umed thi.

Gham bhi wo shayad bara-e- mehrbani de gya.

Sab hawaen le gya Mere samandar ki koi.

Aur mujh ko ek kashti badbani de gya.

Khair main pyasa rha par us ne itna to kia...

Meri palkon ki qataron ko wo pani de gya.

Post a Comment

0 Comments