TU Kisi Aur Ki Jageer Hai Ae Jaan-e-Ghazal,

TU Kisi Aur Ki Jageer Hai Ae Jaan-e-Ghazal,
LoG Tufan Utha Denge Mere Saath Na Chal.

Pehle Haq Tha Teri Chaahat K Chaman Pe Mera,
Pehle Haq Tha Teri Khushbu-e- Badan Pe Mera.

Ab Mera Pyar Tere Pyar Ka Haqdar Nahi,
Mein Tere Gaisu-e-Rukhsar Ka Haqdar Nahi..

Ab Kisi Aur K Shaanon Pe Hai Tera Aanchal,
Log Tufan Utha Denge Mere Saath Na Chal.

Mein Tere Pyar Se Ghar Apna Basaun Kaise,
Mein Teri Maang Sitaron Se Sajaon Kaise.

Meri Qismat Mein Nahi Pyar Ki Khushbu Shayad,.
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi TU Shayad.

Apni Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal,
Log Tufan Utha Denge Mere Saath Na Chal.

Mujh Se Kehti Hein Ye Khamosh Nigaahein Teri,.
Meri Parwaz Se Unchi Hein Panaahein Teri.

Aur Mein Gairat-e-Ehsas Se Sharminda Hon,
Ab Kisi Aur Ki Baahon Mein Hein Baahein Teri.

Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal,
LOG Tufan Utha Denge Mere Saath Na Chal.

Post a Comment

1 Comments