Hadod e jan say guzar hoa to Mohabbaton ka pata chalay ga

Hadod e jan say guzar hoa to, Mohabbaton ka pata chalay ga.
Mohabbat ki nazar hoa to, Mohabbaton ka pata chalay ga.


Abhi to phirtay ho doston main, azeez koi juda nahi hai.
Koi idhar say udhar hoa to, Mohabbaton ka pata chalay ga.


ye khush naseebi hai sher bhar me Tumhara dhusman nahi hai koi.
kabhi kisi ka jo dar howa to. Mohabbaton ka pata chalay ga.


ye faslasa abhi talak jo hamare donoo k darmiyan hai.
ye fasla jo kaam howa to. Mohabbaton ka pata chalay ga.

Abhi Mohabbat nahi hoi na. isi liye muskara rahay ho.
Kisi ke bahoon main ghar hoa to , Mohabbaton ka pata chalay ga


Mohabbaton me to patharo ko bhi moom hote suna hai lekin.
Tumhare dil py asar howa to. Mohabbaton ka pata chalay ga.


Wo jiske khatir bana rahay ho,zamanay bhar ko tum apna dushman
Wohi na apna agar hoa to , Mohabbaton ka pata chalay ga

Post a Comment

0 Comments