Mudat se yehi jan-e-ada soch raha hoon,



Mudat se yehi jan-e-ada soch raha hoon,
tum kese huwe mjhse juda soch raha hoon,

shikwa nahi koi tmse na khud se koi gila hai,
ulfat me hui kis se khata soch raha hoon,

murr ke nahi dekha tha alag baat hai lekin,
jate huwe ai thi sada soch raha hoon,

ab tere siwa RAB se dua me kya mangun;
gar hath uthe toh dua soch raha hoon,

jis ne bhi kbhi duniya me sachi muhabat ki hai,
kyon hojate hain log us se khafa soch raha hoon