Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,

Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,
Kal phir woh mere shehar mein aakar chala gaya ... !

Jise dhoondta raha main logon ki bheed mein,
Mujh se woh apna aap chhupa kar chala gaya ... !!

Main uski khamoshi ka sabab poochti rahi,
Woh kisse idhar udhar ke suna kar chala gaya ... !!!

Yeh sochti hoon kaise bhulaungi ab usse,
Ek shaks woh jo mujh ko bhula kar chala gaya.

Post a Comment

0 Comments