Apna HISSA shumar karta tha,

Apna HISSA shumar karta tha,
Mujhse wo itna PYAR karta tha,
Wo banata tha meri TASVEEREN,
Unse baatain HAZAAR karta tha,
Mera DUKH bhi khulos-e-niyat se,
Apne DUKH mai shumar karta tha,
SUCH samajta tha JHOOT bhi mera,
Yoon mera AITBAAR karta tha,
Pehle rakhta tha PHOOL mere raste mai,
Phir mera INTEZAR karta tha,
Aaj PEHLO mai wo nahi Dost
JAAN jo mujh pe NISAAR karta tha,,,,,

Post a Comment

0 Comments