Hansata tha phir mujhe rula b deta tha,

Hansata tha phir mujhe rula b deta tha,

Kar k aksar wade mujh se bhula b deta tha.

Bewafa tha magar acha lagata tha dil ko,

Kabhi kabhi batein muhabat ki suna b deta tha.

Tham leta tha hath mera kabhi yun hi khud,

Kabhi hath apna mere hath se chura b leta tha.

Kabhi bewaqt chala aata tha milne ko,

Kabhi qeemti pal muhabat k ganwa b deta tha.

Ajab dhoop chaaon sa mizaj tha us ka

Motabar b karta tha nazron se gira b deta tha.?

Post a Comment

0 Comments