''TERE SIWA''

''TERE SIWA''
Mere humsafar mere humnasheen,
Maine RUB se manga to kuch nahi,
Maine jab bhi mangi koi DUA,
nahi manga kuch bhi TERE SIWA,
Ye talab kiya ke mere KHUDA,
Sabhi rahatain sabhi chahatain,
Wo atta kare tujhe manzilen,
Ye talab kiya ke mere KHUDA
Tujhe bakht de tujhe takht de tujhe taaj de,
Mere humsafar mere chara gar,
Ye zindagi ka kathan safar,
Mere sath chalna zara soch kar,
Zara dekh to mere hosla
Mere pas jo bhi hai wo hai tera,
nahi aur kuch bhi TERE SIWA
Meri dosti meri zindagi
meri khamoshi meri bebasi
Mera ilm bhi mera naam bhi
ke meri subha ke meri shaam bhi,
Ke jo mil saken mere daam bhi,
Wo sabhi kuch tujhe atta kare,
Mere chara gar tu yaqeen to kar,
Mujhe mangna to na aa saka,
maine phir bhi mangi yahi DUA...
Ke gawaahi dega mera KHUDA...
Maine jab bhi us se talab kiya
nahi manga kuch bhi ''TERE SIWA''

Post a Comment

0 Comments