Tere hi khayal main raat guzar jati hai,

Tere hi khayal main raat guzar jati hai,

Bebasi k haal main raat guzar jati hai,

Tu mujhey yaad karta hai k nahi,

Isi sawal main raat guzar jati hai,

Tere chehre ka aks zehen main banata hoon,

Taswr_e_Hilaal main raat guzar jati hai,

Tumhain chaand kahoon ya chaand jesa kahun,

Sochon k jaal main raat guzar jati hai,

Kash k tu har waqt mere sath rahe?

Khwahish e

kamal main raat guzar jati hai.

Post a Comment

0 Comments