Baat chali teri baaton se



Baat  chali teri baaton  se aur ja pohanchi paimaanay tak,
Kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhay maikhaanay tak.

Ishq ki baatein gham ki baatein dunia walay kartay hain,
kis ne shamma ka dukh dekha aur kon gya parwanay tak

Ishq nahi hai tum ko mujh se sirf bahanay kartay ho
yonhi bahanay qayem rakhna tum meray marr jaanay tak

Itna hi kehna hai tum se mumkin ho to a jana
aa jao to ruk jaana bus dil k sambhal janay tak.

Post a Comment

0 Comments