Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.



Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.
woh ashna bhi mila Hum se ajnabi ki tarah.

kise khabar thi barhey gi kuch aur tareeki.
chupay ga woh bhi kisi badli me chandni ki tarah.

barha ke pias meri usney haath chor dia.
woh kar raha the muhabbat bhi dil lagi ki tarah.

sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna.
qabool Hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah.

kabhi na socha tha Hum ne qateel us ke liye.
karey ga Hum pe sitam woh bhi har kisi ki tarah.

Post a Comment

0 Comments