Ojhal sahi nigah se, dooba nhi hu main,

Ojhal sahi nigah se, dooba nhi hu main,
Aey Rat khbrdar k Hara nhi hu main,

Darpesh Subh-o-Sham yhi kash'makash hai ab,
Us ka bano'n main kaise k apna nahi hun main,

Mujh ko Farishta hone ka dawa nhi magr,
Jitna bura samjhte ho utna nahi hun main.

Is trha pher pher k baate'n na keejiye,
Lehje ka rukh smjhta hu bacha nhi hu main,

Mumkin nhi hai mujh se ye Tarz e Munafqat,
Dunya tere mizaj ka banda nhi hu main

Post a Comment

0 Comments