Raiza-e-kanch ki soorat mein bikhar jati hoon, Main teri yad mein jab had se guzar jati hoon.

Raiza-e-kanch ki soorat mein bikhar jati hoon,

Main teri yad mein jab had se guzar jati hoon.



Ab gorezaan hai wo milne se jo kehta tha kbhi,

Tum se milte he main or NIKHAR jati hoon.



Roz khahti hoon tujhe yad na kerne ki Qasam,

Roz wadoon se main apny hi mokar jati hoon.



Mujh ko Tamasha bana dia hai mohabat ne teri,

Log kaste hain aawazein main jidhar jati hoon.



Har gham pe chaya hai mohabat ka dhoka,

Ab koi piyar se bolata hai to dar jati hon.

Post a Comment

0 Comments