sun to sahii jahaan main hai tera fasaana kya



sun to sahii jahaan main hai tera fasaana kya.
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibana kya.

zina saba ka Dhundati hai apni musht-e-Khaak.
baam-e-baland yaar ka hai astana kya.

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko.
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya.

betab hai kamal hamara dil-e-aziim.
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya.

Post a Comment

0 Comments