Tu jo yaad aya tu buhat yaad aya



Tu jo yaad aya tu buhat yaad aya
Teri ankhon mein muhabat ki jhalak yaad hai

Har taraf khouf hai viraan lagay zindagi
Wo jo ik dard hai teri ulfat ka mujhe yad hai

Tujh se door howa jo teri muhabat ki khartar
Kitna tarpa kitna roya mujhe yad hai

Lab ko cho kar Jo bahon mein bsaya tha tujhko
Teri aknkhon ki sharam dil mein kasak yad hai

Hathon mein le hath tera mujh se lipat jana
sharma ke muje dekhna aur nigah ka jhuk jana

Wo badal ka bras jana teri pehli mulaqat pe
Wo mujh ko lipat jana jatay howe lamhaat mein

Teri wafa teri jafa tera palat ke na ana
tujhe yaad ho na yaad ho muje yaad hai

Tot ke chaha tha per mein hi sitamgar nikla
Akhri lamhat ki har baat muje yaad hai

Post a Comment

0 Comments