Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha




Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha ,
Wo chahta to mare Sath Chal bhi skta tha.

Wo Shakhs Tune jisay Chornye ki jaldi ki.
Tare Mizaj k sanchy me dhal bhi skta tha.

Wo jaldbaaz khafa ho k chaldia warna.
Tanazaat ka koi hal nikal b skta tha.

ANNA ne hath uthnay nahi diye warna.
Meri dua say wo pather pigal bhi skta tha.

Tamam UMAR tera muntazir raha Mohsin.
ye aur baat k wo rassta badal bhi skta tha.

Post a Comment

0 Comments