Zawia jitna nigahøn ka sanwar jata hai.



Zawia jitna nigahøn ka sanwar jata hai.
Tera rukhsar bhi utna hi nikhar jata hai.

Aesay lamhat bhi aate hein rah_e_ulfat mein.
Ya wafa hath say jati hai Ya sar jata hai.

Main tere Gham main bhala ashk baha'øn kb tak.
Aankh tø Aankh hai darya bhi utar jata hai.

Hasti_e_Gul hai faqat chand adaa'øn Pe muheet.
Phøøl khilta hai, nikharta hai, bikhar jata hai.

Qurbat_e_Yaar say 'Møhsin' kø baqa milti hai.
zarf Parwanay ka, Chhøøta hai k mar jata hai...

Post a Comment

0 Comments