Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha,



Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha,
Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha,

Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke,
Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha,

Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye,
So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha,

Qabal iske ke dono bad’gumani mein ulajh jate,
Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha,

Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin,
Jo tum bichre tu phir mera bikhar jana zaruri tha.

Post a Comment

0 Comments