Daaman-e-Zabt Bhigo Dene Ko G Chahta Hai

Daaman-e-Zabt Bhigo Dene Ko G Chahta Hai

Itni Tanhai Hai Ro Dene Ko G Chahta Hai



Saans Ki Dor Salamat Hai Abhi Tak Shayad

Ab Ye Ehsaas Bhi Kho Dene Ko G Chahta Hai



Shakh-e-Gul Jab Bhi Tahi-Dast Nazar Aati Hai

Apna Dil Us Main Piro Dene Ko G Chahta Hai



Aik Gum'Naam Musafir Ki Tarha Chupke Se

Khud Ko Is Bheerr Main Kho Dene Ko G Chahta Hai



Rida-e-Khaak K Har Dukh Se Dila De Gi Nijaat

Khud Ko Matti Main Samo Dene Ko G Chahta Hai........!!

Post a Comment

0 Comments