Daman-E-Gull Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaate Hein.

Daman-E-Gull Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaate Hein.

Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hein.



Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Mein Lekin.

Jal K Parvaane Kaie Baar Bikhar Jaate Hein.



Jin Ko Insaan Pirota Hai Bohat Ulfat Se.

Haaye Wo Gull Sar-E-Bazaar Bikhar Jaate Hein.



Paaon Uthate Hein Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi.

Apni Raahon Mein Kayi Khar Bikhar Jaate Hein.



Raat K Pichle Pehar Khoon-E-Tamanna Ki Tarha.

Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hein.



Ho Ga Andaaz-E-Wafa Un Ka Alag Hi Mohsin.

Jin Ki Rahoon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hein.

Post a Comment

0 Comments