Jazbon ko meethi neend sula to nahin diya,



Jazbon ko meethi neend sula to nahin diya,
Phir apna aap hum ne bhula to nahin diya,

Zinda ho tum bhi tark-e-taluq ke bawjood,
Hum ne bhi apna aap jalaa to nahin diya,

Woh laut ker jab aaya to kehne laga humain,
Aankhon mein aur khawab sajaa to nahin diya.

Kuch manzilain hain aur bhi raah-e-hayaat mein,
Jeewan isi gali mein lutaa to nahin diya,

Mehroz! Bhuje bhuje nazar ate ho aaj kal,
Roshan diya wafaa ka bhujaa to nahin diya…

Post a Comment

0 Comments