Main paarsa bhi nahi aur main bura bhi nahi,

Main paarsa bhi nahi aur main bura bhi nahi,

Suraag-e-mazil-e-janaan mujhe mila bhi nahi,



Mijaaz fitrat-e-adam se main juda bhi nahi,

Tamaam umar chala main, kahin ruka bhi nahi,



Ye kis maqaam par le aaya junoon mujh ko,

Khayal-e-yaar ka roshan jahaan diya bhi nahi,



Ye Bar-hami, Ye tagafull, Ye be-rukhi kaise ?

Zabaan-e-haal se main ne to kuch kaha bhi nahi,



Main kis tarah karoon izhaar-e-ghum sar-e-mehfil,

Mujhe saleeq aadab-e-iltija bhi nahi ..

Post a Comment

0 Comments