Roshni Ki Dhaar Par likhe Kahani Aur Dukh

Roshni Ki Dhaar Par likhe Kahani Aur Dukh

Aankh Se Behta Huwa Khamosh Pani Aur Dukh



Mere Kamre Mein Usi Tarteeb Se Rakhe Huwe

Phool Khat Wade Dilase Ik Jawani Aur Dukh



Ek Dooje Se Bichar Kar Umar Bhar Rote Rahe

Raat Sehra Khushk Patte Ek Raani Aur Dukh



Ab Mere Lafzon Mein Wo Pehle Si Kefiyat Nahi

Daal Ab Jholi Mein Teri Mehrbani Aur Dukh



Raat Sehra Mein Kisi Ne Bansuri Ki Hook Par....

Rakh Dien Phir Roti Huwi Yaden Purani Aur Dukh.

Post a Comment

0 Comments