Sada Apni Rawish Ahal-e-Zamaana Yaad Rakhtay Hain,

Sada Apni Rawish Ahal-e-Zamaana Yaad Rakhtay Hain,

Haqeeqat Bhool Jaatay Hain Fasaana Yaad Rakhtay Hain



Hujoom Apni Jagah Tareek Jangal K Darkhtoo'n Ka,

Parinde Phir Bhi Shaakh-e-Ashiyaana Yaad Rakhtay Hain



Hamein Andaaza Rehta Hai Hameshaa Dost Dushman Ka,

Nishaani Yaad Rakhtay Hain Nishaana Yaad Rakhtay Hain



Humaari Simat Aik Mauj-e-Turaab Aai To Yaad Aaya,

K Kuch Mosam Humein Bhi Ghaibaana Yaad Rakhtay Hain



Hum Insaanoo'n Se To Ye Sang-O-Khasht-O-Baam-O-Dar Achay,

Musaafir Kab Huwa Ghar Se Rawaana Yaad Rakhtay Hain..!!

Post a Comment

0 Comments